Anshul Samar
my blog

Alfaaz


Bebas hai alfaaz jo adhuri baat batate hai
Dil se aaker phir zubaan pe kyun yeh larkharate hai
Nikaltey hai safar pe aur ehsaas leker toh jaate hai
Per yeh dil se dil ke raaste mein alfaaz kahin khojatey hai
Samajhrahi hona ki hum tujhe aaj kya kehna chaha rahe hai?
Samajhrahi hona ki hum tujhe aaj kya kehna chaha rahe hai?
Kyunki humarey yeh alfaaz, humey hi na mil paare hai
Kyunki humarey yeh alfaaz, humey hi na mil paare hai